teri hansie ne luta,
muskra ke mara
tune wo patthar jo mere dil par,
bas aah nikal gayee.
kah na saka kahna jo chaha,
apni babsi me bas chup raha.
tab baat aur thi,
jab kaha thha tune isaaron - isaaron me,
babul ki galiyon se, tere aagan me, mai aaungi,
vada kiya tha,
palken bichhaungi raah me teri,
tere intjaar me, jee na saki to mar jaaungi.
aaj kya hua, jo kaha tha bhula diya, vakt badal gaya
mai na badla, tum badal gayi.
aaj teri hansie me beganapan hai,
par baton me wahi deewanapan hai
aankhon me bebsi ke badal hain
dil me meri yaadon ka aanchal hai
uphh...
ye kaisi tohmat hai, kya yahi mohbbat hai
aaj ye tai kar jana hai
pyaar sach hai ya affsana hai
phir kabhi na dil lagana hai
bas yun hi jiye jana hai
pyaar to ik affsana hai